Pinned Tweet
Follow me on Instagram : Instagram.com/sailaaab
“Muflisi thi aur hum the ghar ke iklaute charagh,
warna aisi roshni karte ki duniya dekhti”
- Kashif Syed
“waqt-e-rukhsat aa gaya dil phir bhi ghabraya nahin,
uss ko hum kya khoyenge jis ko kabhi paaya nahin”
- Parveen Shakir
“bārhā guftugoo hoti rahi lekin mera naam,
uss ne poocha bhi nahin maine bataya bhi nahin”
- Kaleem Ajiz
“har ek baat pe kehte ho tum ke tu kya hai,
tum hi kaho ke yeh andaaz-e-guftagoo kya hai”
- Mirza Ghalib
9
1,112
Shakespeare said “Who ever loved that loved not at first sight?”
but we understood the true meaning when Nida Fazli said “Unse nazrein kya mili, roshan fizaayen ho gayi, aaj jaana pyaar ki jadugari kya cheez hai”.
“main zindagi ke kharabe mein kho gaya warna,
main apne aap se milta to pyaar kar leta”
- Irfan Jafri
“chandni raat badi der ke baad aai hai,
labh pe ik baat badi der ke baad aai hai
aaj ki raat woh aaye hain badi der ke baad,
aaj ki raat badi der ke baad aayi hai”
- Saifuddin Saif
“Ik tarz-e-taghaful hai so woh unko mubarak,
ik arz-e-tamanna hai so hum karte rahenge”
- Faiz Ahmad Faiz
“tumhara zarf hai tum ko mohabbat bhool jaati hai,
humein to jis ne hans kar bhi pukaara yaad rahta hai”
- Adeem Hashmi
“maine khud ko kabhi is khush-fehmi mein nahin rakha ki usey mujhse behtar koi mil nahi sakta,
logon ko log mil hi jaate hain,
kabhi battar se behtar,
kabhi behtar se behtareen.”

