Scout ne khane ki izzat pe stand liya aur ye baat sabko pasand aayi. Ladai apni jagah, par khana phenkna kisi bhi haal mein theek nahi. Scout ki ye baat dil jeet gayi 💯 #BiggBoss20 #ScoutOP
1
28
Bartan na dhone pe Love aur Arishfa ki ladai itni badi ho gayi ki poora ghar ikattha ho gaya. Bigg Boss ke ghar mein sabse bada mudda hamesha kitchen se hi shuru hota hai 😂 #BiggBoss20 #LoveGill
87
Mahhi ne Uditi ko nominate kiya aur reason sunke hasi aa gayi. Jab saamne wala strong ho toh reason dhoondhna padta hai. Uditi ab aur khul ke khelegi, likh ke le lo 🔥 #BiggBoss20 #UditiSingh
84
Kanika bolti hai Qazi stand nahi leta, aur Qazi bolta hai jo dekha nahi us pe kya bolun. Sach bolun toh dono apni jagah sahi lagte hain, par Kanika ka tone thoda zyada tez tha 🤔 #BiggBoss20 #KanikaMann
95
Qazi ne Qazina banke prank kiya aur Manish ji ro pade. Ab internet do hisson mein bat gaya hai. Mujhe lagta hai mazaak tab tak theek hai jab tak saamne wala bhi hans raha ho, aansu aaye toh rukna chahiye tha 😶 #BiggBoss20 #QaziTouqeer
160
Aaj raat ka episode dekhne se pehle ek baat, is hafte sab ek dusre ke against khade hain. Dosti, dushmani sab mix ho gaya hai. Popcorn ready rakho 🍿 #BiggBoss20
87
Love Gill pe roz naya label lagta hai, kabhi planned, kabhi desperate. Sach yeh hai ki Love jo bhi karti hai, charcha usi ki hoti hai. Yahi toh Bigg Boss mein chahiye 🔥 #BiggBoss20 #LoveGill
123
Jab Qazi Manish ke baare mein ye sab bol raha tha, sirf Kanika chup thi aur chehre pe saaf dikh raha tha ki ye galat hai 👀 #BiggBoss20 #KanikaMann #Manish
193
Qazi ne Manish ko aisa ladka bata diya jo ladkiyon ko chhedta hai 😠 Agar aap pe koi aise jhoothe ilzaam lagaye to kaisa lagega? #BiggBoss20 #QaziTouqeer #Manish
167
Amrapali ka gyaan dene ka style kuch logon ko pasand hai aur kuch ko bilkul nahi. Par maanna padega, ghar mein sabse zyada bolne wali wahi hai 😂 #BiggBoss20
78
Kanika bhagwan ke liye ruk jao, ye salah mat do 🙏 Tum nahi jaanti bahar kya chal raha hai, itni extra mature ban ke aag mein ghee mat daalo. #BiggBoss20 #KanikaMann #BB20
3
433
Scout ke saamne Mahhi ne Love ke baare mein jo bola, Scout ne chup chaap sun liya. Kabhi kabhi chup rehna bhi ek jawab hota hai, par fans ko awaaz chahiye thi 🤐 #BiggBoss20 #ScoutOP
1
196
